
Agar aap B.Sc Agriculture pass hain aur HPSC ADO Vacancy 2025 Haryana State mein ek sarkari naukri ki talash kar rahe Hai, to aapke liye ek sunehra awsar samne aya hai. Haryana Public Service Commission (HPSC) ne recently Agriculture Development Officer (ADO) ke 785 padon ke liye ek nayi bharti ka notification jari kiya hai. Ye recruitment Group-B Administrative Cadre ke under ki ja rahi hai, jo ki Agriculture and Farmers Welfare Department, Haryana ke liye hai.
Haryana Lok Seva Aayog (HPSC) ne Agriculture Graduates ke liye ek shandaar avsar pradan kiya gaya hai. HPSC ADO Recruitment 2025 ka official notification ab Jari kiya ja chuka hai, jisme total Post 785 Pado par Vacany Agriculture Development Officer (ADO) ki bharti ki Jayegi. Yeh bharti Group-B Cadre ke antargat Haryana sarkar ke Agriculture and Farmers Welfare Department mein ki ja rahi hai.
🔍 HPSC Agriculture Officer Notification 2025 Overview
- Sanstha ka Naam: Haryana Lok Seva Aayog (HPSC)
- Pad ka Naam: Agriculture Development Officer (Prashasnik Cadre)
- Kul Pad: 785
- Sthaan: Haryana
- Vetanman: ₹35,400 – ₹1,12,400 (Pay Matrix Level-6)
- Aavedan Prakriya: Online
- Adhikarik Website: hpsc.gov.in
📅 HPSC ADO 2025 Important Dates
Event | Tithi |
---|---|
Online Aavedan Shuru | 05 August 2025 |
Aavedan ki Antim Tithi | 25 August 2025 (shaam 5:00 baje tak) |
Shulk Jama Karne ki Antim Tithi | 25 August 2025 (shaam 5:00 baje tak) |
HPSC Agriculture Vacancy 2025: Category-wise
Varg | Riktiyan |
---|---|
General (UR) | 448 |
OSC (Anya Anusuchit Jati) | 83 |
DSC (Vanchit Anusuchit Jati) | 84 |
BC-A (Non-Creamy Layer) | 57 |
BC-B (Non-Creamy Layer) | 24 |
EWS | 89 |
ESM (Anarakshit) | 36 |
PwBD (Benchmark Disability) | 7 |
ID/MD Shreni | 6 |
🎯 HPSC ADO Eligibility Criteria 2025
Education Yogyata:
Candidate ke paas kisi Bhi manyata Board se Prapt vishwavidyalay se B.S.c (Hons.) Agriculture or B.S.c Agriculture ki Degree honi chahiye.
Bhasha ki Yogyata:
Candidate ne Matric ya usse ucc star par Hindi ya Sanskrit ek vishay ke roop mein padha hona chahiye.
🎯 Aayu Seema (25-08-2025 ke Anusar)
- Nyuntam Aayu: 18 Varsh
- Adhiktam Aayu: 42 Varsh
Aayu Mein Chhoot:
- Haryana ke SC/BC candidates ko 5 saal
- PwD candidates ko 5 saal
- Viklang Sainik karmiyon ko 5 saal
(Government ke niyamon ke anusar anya shreniyon ko bhi chhoot milegi.)
💰 HPSC ADO Application Fee 2025
Varg | Shulk |
---|---|
PwBD (40% ya adhik viklangta) | ₹0/- |
OSC, DSC, BC-A, BC-B (NCL), ESM, EWS, Haryana ki Mahilayein | ₹250/- |
Haryana ke DESM (Vertical Category mein) | ₹250/- |
Haryana ke UR varg ke DESM | ₹1000/- |
Anya sabhi candidates | ₹1000/- |
⚠️ Note: Ek baar bhara gaya shulk wapas nahi kiya jayega.
Selection Process –
HPSC ADO Vacancy 2025 ki Selection Process prakriya teen charanon me hogi:
1️⃣ Screening Test (Prarambhik Pariksha)
2️⃣ Subject Knowledge Test (Vishay Gyaan Pariksha)
3️⃣ Interview (Vyaktitva Parikshan)
Tino charanon ke performance ke aadhar par Final Merit List taiyaar ki jayegi.
💼 Vetanman & Karya Bhumika
- Vetan: ₹35,400 – ₹1,12,400 (Pay Level 6)
- Karya Bhumika: ADO ki bhumika mein candidates ko krishi se sambandhit sarkari yojnaon ka sancharan, kisanon ko takniki salaah dena, aur rajya mein krishi vikas ki nigraani karni hogi.
📎 Aavedan Kaise Kare?
1️⃣ HPSC ki adhikarik website hpsc.gov.in par jayein
2️⃣ ‘Apply Online’ link par click karein
3️⃣ Zaruri jaankari bharein aur documents upload karein
4️⃣ Shreni anusar shulk ka bhugtan karein
5️⃣ Form submit karke uski ek print copy surakshit rakhein
🔗 Mahatvapurn Links
- 👉 Online Aavedan Kare – Click Here
- 📄 Adhikarik Notification – Click Here
- 🌐 HPSC Website – Click Here
- 📲 Telegram Channel Join Kare – Click Here
- 📱 Mobile App Download Kare – Click Here
- 📢 WhatsApp Channel – Click Here
❓ Aksar Poochhe Jaane Wale Sawaal (FAQ)
Q1. ADO pado ki kul sankhya kitni hai?
➡️ Kul 785 riktiyan ghoshit ki gayi hain.
Q2. Kya keval Haryana ke abhyarthi hi aavedan kar sakte hain?
➡️ Nahi, anya rajya ke candidates bhi aavedan kar sakte hain lekin aarakshan ka laabh keval Haryana nivasion ko milega.
Q3. Kya B.Sc Agriculture wale yogya hain?
➡️ Haan, Agar aapke Pas B.S.c Agriculture ki Degree hai to aap From aavedan kar sakte Hai.
Q4. Chayan prakriya mein kaun-kaun se charan shamil hain?
➡️ Screening Test, Subject Knowledge Test aur Interview – kul teen charan honge.
📢 Nishkarsh:
Yadi aap ek Agriculture Graduate hain aur Haryana rajya mein sarkari naukri ki talash mein hain, to yeh mauka aapke liye bilkul sahi hai. Aur aavedan ki prakriya 5 August 2025 se shuru ho rahi hai aur 25 August 2025 tak chalegi.
⏳ Samay par aavedan karein aur tayari mein lag jayein.
👉 Jaldi karein! Aavedan karne ka samay seemit hai.
HPSC द्वारा निकाली गई अन्य नई भर्तियां यहां देखें।”
Link To: https://
ncsjob.in/category/
https://ncsjob.in/hpsc-jobs/